yaad-e-nabii kaa gulshan mahkaa-mahkaa lagtaa hai
yaad-e-nabii kaa gulshan mahkaa-mahkaa lagtaa hai
0
Roman Lyrics
yaad-e-nabii kaa gulshan mahkaa-mahkaa lagtaa hai
mahfil me.n maujuud hai.n aaqaa aisaa lagtaa hai
naam-e-mohamaad kitnaa miiThaa-Thaa lagtaa hai
pyaare nabii kaa zikr bhii ham ko pyaaraa lagtaa hai
lab pe naGme sall-e-'alaa ke haatho.n me.n kashkol
dekho to sarkaar kaa ma.ngtaa kaisaa lagtaa hai
aa.nkho.n me.n maa-zaaG kaa kajlaa sar taahaa kaa taaj
kaise kahuu.n kamlii vaalaa ham jaisaa lagtaa hai
Gaus qutub abdaal qalandar sab un ke mohtaaj
meraa daataa har daataa kaa daataa lagtaa hai
au adnaa kii sej sajii hai 'arsh-e-barii.n par aaj
haq kaa dulaaraa baa.ndh ke sehraa duulhaa lagtaa hai
aa.o sunaa.e.n apne nabii ko apne man kii baat
in ke 'alaava kaun 'niyaazii' apnaa lagtaa hai
