Ae Shehenshah-e-Madina, As-Salaatu Was-Salaam
اے شہنشاہِ مدینہ اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَام
Ae Shehenshah-e-Madina, As-Salaatu Was-Salaam
Zeenat-e-Arsh-e-Mu‘alla, As-Salaatu Was-Salaam
Rabb-e-Hab Li Ummati kehte hue paida hue
Haq ne farmaaya ke bakhsha, As-Salaatu Was-Salaam
Dast basta sab farishte parhte hain un par durood
Kyun na ho phir wird apna, As-Salaatu Was-Salaam
Momino parhte nahin kyun apne Aaqa par durood
Hai farishton ka wazifa, As-Salaatu Was-Salaam
But-shikan aaya yeh keh kar sar ke bal but gir gaye
Jhoom kar kehta tha Kaaba, As-Salaatu Was-Salaam
Sar jhuka kar baa-adab Ishq-e-Rasoolullah mein
Keh raha tha har sitaara, As-Salaatu Was-Salaam
Ghunche chatke, phool mehke, chehchaahayen bulbulen
Gul khila Baagh-e-Ahad ka, As-Salaatu Was-Salaam
Main woh Sunni hoon Jameelؔ Qaadri marne ke baad
Mera laashah bhi kahega, As-Salaatu Was-Salaam