Aate Rahe Ambiya Kamaa Qeel Lahum
آتے رہے انبیا کَمَا قِیْلَ لَھُمْ
Aate Rahe Ambiya Kamaa Qeel Lahum
Wal Khatam-ul- Haqakukum Ke Khatam-ul- Hue Tum
Yaani Jo Ho Daftar-e-tanzeel Tamaam
Aakhir Mein Hui Mehr Ke Akamlat Lukma
Shab Lahiya O Shaarab Hai Rukh-e-roshan Din
Gesu O Shab-e-qadr O Baraat-e-momin
Mizgaan Ki Safen Chaar Hain, Do Abroo Hain
Wal-fajr Ke Pehlu Mein Liyaal Ishra
Allah Ki Sar Ta Ba Qadam Shaan Hain Yeh
In Sa Nahin Insan Woh Insan Hain Yeh
Quran To Imaan Bataataa Hai Unhien
Imaan Yeh Kehta Hai Meri Jaan Hain Yeh
Bosa Gah-e-Ashaab-e- Woh Mehr Saamee
Woh Shana-e-chup Mein Us Ki Ambar Faamee
Yeh Turfa Ke Hai Kaaba-e-jaan O Dil Mein
Sang-e-aswad Naseeb Rukan-e-shaamee
Ka'bay Se Agar Turbat-e-shah Faazil Hai
Kyun Baaen Taraf Us Ke Liye Manzil Hai
Is Fikr Mein Jo Dil Ki Taraf Dhyaan Gaya
Samjha Ke Woh Jism Hai Yeh Marqad-e-dil Hai
Tum Chaho To Qismat Ki Museebat Tal Jaaye
Kyun Kar Kahun Sa'at Se Qiyamat Tal Jaaye
Lillah Utha Do Rukh-e-roshan Se Niqab
Maula Meri Aayi Hui Shaamat Tal Jaaye
Yan Shubha Shabeeha Ka Guzranaa Kaisa!
Be Banaya Ki Timsaal Sanwranaa Kaisa
Un Ka Mutaalliq Hai Taraqqi Pe Mudaam
Tasweer Ka Phir Kahie Utranaa Kaisa
Yeh Shah Ki Tawazu Ka Taqaza Hi Nahin
Tasweer Khinche Un Ko Gawara Hi Nahin
Maana Hain Yeh Maanee Ke Karam Kya Maane
Khinchnaa To Yahan Kisi Se Thahraa Hi Nahin
Hadaiq-e-bakhshish