Chaman-e-Taiba Mein Sumbul Jo Sanwaare Gesu
چمنِ طیبہ میں سنبل جو سنوارے گیسو
Chaman-e-Taiba Mein Sumbul Jo Sanwaare Gesu
Hoor Barh Kar Shikan-e-naaz Pe Waray Gesu
Ki Jo Baalon Se Tere Rauzay Ki Jaaroob Kashee
Shab Ko Shabnam Ne Tabarruk Ko Hain Dhaare Gesu
Hum Siyah Kaaron Pe Ya Rab! Tapish-e-mahshar Mein
Saya Afgan Hoon Tere Pyaare Ke Pyaare Gesu
Charche Hooron Mein Hain Dekho To Zara Baal-e-Buraaq
Sumbul-e-khuld Ke Qurbaan Utaare Gesu
Aakhir-e-Hajj Gham-e-Ummat Mein Pareshan Ho Kar
Teera Bakhton Ki Shafaat Ko Sidhaare Gesu
Gosh Tak Sunte Thay Faryaad Ab Aaye Ta Dosh
Ke Banein Khana-e- Badoshon Ko Sahaare Gesu
Sookhe Dhaanon Pe Hamare Bhi Karam Ho Jaaye
Chhaae Rahmat Ki Ghata Ban Ke Tumhare Gesu
Kaaba-e-jaan Ko Panhaayaa Hai Ghilaaf-e-Mushkeen
Ur Kar Aaye Hain Jo Abroo Pe Tumhare Gesu
Silsila-e-Paa Ke Shafaat Ka Jhuke Parte Hain
Sajda-e-shukr Ke Karte Hain Ishare Gesu
Mushk Boo Koocha-e-yeh Kis Phool Ka Jhaaraa Un Se
Hooriyo Ambar-e-Saara Hue Saare Gesu
Dekho Quran Mein Shab-e-qadr Hai Ta Matla-e-fajar
Yaani Nazdeek Hain Aariz Ke Woh Pyaare Gesu
Bheeni Khushboo Se Mehak Jaati Hain Galiyan Wallah
Kaise Phoolon Mein Basaae Hain Tumhare Gesu
Shaan-e-rahmat Hai Ke Shana Na Juda Ho Dam Bhar
Seena-e- Chaakoon Pe Kuchh Is Darja Hain Pyaare Gesu
Shana Hai Panja-e-Qudrat Tere Baalon Ke Liye
Kaise Hathon Ne Shaha Tere Sanwaare Gesu
Ahad-e-paak Ki Chotee Se Ulajh Le Shab Bhar
Subh Hone Do Shab-e-Eid Ne Haare Gesu
Muzhda-e-ho Qible Se Ghanghor Ghataein Umden
Abaruon Paroha Jhuke Jhoom Ke Baare Gesu
Taar-e--e-sheeraaza-e-majamooa-e-kaunain Hain Yeh
Haal Khul Jaaye Jo Ek Dam Hoon Kinaare Gesu
Tel Ki Boonden Tapkatee Nahin Baalon Se Raza
Subh-e-Aariz Pe Lutaate Hain Sitaare Gesu
(hadaiq-e-bakhshish)