Ishq-e-Maula Mein Ho Khoon Baar Kanaar-e-daaman
عشقِ مولیٰ میں ہو خوں بار کنارِ دامن
Ishq-e-Maula Mein Ho Khoon Baar Kanaar-e-daaman
Ya Khuda Jald Kahein Aaye Bahaar-e-daaman
Bahah Chali Aankh Bhi Ashkon Ki Tarah Daaman Par
Ke Nahin Taar-e- Nazar Juz Do Sah Taar-e--e-daaman
Ashk Bar Saaoon Chale Koocha-e-Janan Se Naseem
Ya Khuda Jald Kahein Niklay Bukhar-e-daaman
Dil Shudon Ka Yeh Hua Daaman-e-Athar Pe Hujoom
Bi Dil Aabaad Hua Naam Dayar-e-daaman
Mushk Sa Zulf Shah O Noor Fishan Roo-e-Huzoor
Allah Allah Halab-e-jaib O Tattaar-e-daaman
Tujh Se Ae Gul Mein Sitam Deeda-e-dasht-e-hirmaan
Khalish-e-dil Ki Kahun Ya Gham-e-khaar-e-daaman
Aks Afgan Hai Hilaal-e-lab-e-shah Jaib Nahin
Mehr-e-Aariz Ki Shuaaen Hain Na Taar-e--e-daaman
Ashk Kehte Hain Yeh Shaidaai Ki Aankhein Dho Kar
Ae Adab! Gard-e--e-nazar Ho Na Ghubaar-e-daaman
Ae Raza! Aah Woh Bulbul Ke Nazar Mein Jis Ki
Jalwa-e-jaib Gul Aaye Na Bahaar-e-daaman
Hadaiq-e-bakhshish