Jobnon Par Hai Bahaar-e-chaman Aarai-e-dost
جوبنوں پر ہے بہارِ چمن آرائیِ دوست
Jobnon Par Hai Bahaar-e-chaman Aarai-e-dost
Khuld Ka Naam Na Le Bulbul-e-Shaidaai-e-dost
Thak Ke Baithay To Dar-e-dil Pe Tamannaaee-e-dost
Kaun Se Ghar Ka Ujala Nahin Zebaai-e-dost
Arsa-e-Hashr Kujaa Moqif-e-Mahmood Kujaa
Saaz Hangaamon Se Rakhtee Nahin Yakataaee-e-dost
Mehr Kis Munh Se Jilwa Ya-e-Janan Kurta
Saaye Ke Naam Se Bezaar Hai Yakataaee-e-dost
Marne Walon Ko Yahan Milti Hai Umar-e-jaawed
Zinda Chhore Gayi Kisi Ko Na Maseehaai-e-dost
Un Ko Yakta Kya Aur Khalq Banaaee Yaani
Anjuman Karke Tamasha Karein Tanhai-e-dost
Kaaba-e-o Arsh Mein Kuhram Hai Na Kaamee Ka
Aah Kis Bazm Mein Hai Jalwa-e-yakataaee-e-dost
Husn-e-be Parda Ke Parde Ne Mita Rakha Hai
Dhoondne Jaayein Kahan Jalwa-e-Harjaai-e-dost
Shauq Roke Na Ruke Paon Uthaye Na Uthe
Kaisi Mushkil Mein Hain Allah Tamannaaee-e-dost
Sharm Se Jhuktee Hai Mahraab Ke Saajid Hain Huzoor
Sajda Karwaatee Hai Kaaba-e-se Jabeen Sai-e-dost
Taaj-e- Walon Ka Yahan Khaak Pe Maathaa Dekha
Saaye Daaraaoon Ki Daara Hui Daaraaee-e-dost
Toor Par Koi Koi Charkh-e- Pe Yeh Arsh Se Paar
Saare Baalaaoon Pe Bala Rahi Baalaaee-e-dost
Anta Faiham Ne Adu Ko Bhi Liya Daaman Mein
Aish-e--e-jaawed Mubarak Tujhe Shaidaai-e-dost
Ranj Aada Ka Raza Chara Hi Kya Hai Jab Unhien
Aap Gustaakh Rakhay Halam O Shakebaaee-e-dost
Hadaiq-e-bakhshish