Tumhare Zarre Ke Partaw Sattar Haaye Falak
تمھارے ذرّے کے پرتو ستار ہائے فلک
Tumhare Zarre Ke Partaw Sattar Haaye Falak
Tumhare Naal Ki Naaqis Banaya Ziya-e- Falak
Agarcha Chhaale Sitaron Se Par Gaye Laakhon
Magar Tumhari Talab Mein Thakay Na Paaye Falak
Sar-e-Falak Na Kabhi Ta Ba Aastan Pohancha
Ke Ibtida-e-bulandi Thi Intiha-e-Falak
Yeh Mit Ke Un Ki Rosh Par Hua Khud Un Ki Rosh
Ke Naqsh Paa Hai Zameen Par Na Saut-e-Paaye Falak
Tumhari Yaad Mein Guzree Thi Jaagte Shab Bhar
Chali Naseem Hue Band Deedhaa Falak
Na Jaag Uthein Kahein Ahl-e-baqeea Kachchee Neend
Chala Yeh Narm Na Nikli Sada-e- Paaye Falak
Yeh Un Ke Jalwe Ne Keen Garmiyaan Shab-e-Asra
Ke Jab Se Charkh-e- Mein Hain Nuqra O Tilaae Falak
Mere Ghani Ne Jawaahir Se Bhar Diya Daaman
Gaya Jo Kaasa-e-Mah Le Ke Shab Gada-e-Falak
Raha Jo Qaanea-e-yak Naan-e-sokhta Din Bhar
Mili Huzoor Se Kaan-e-gauhar Jazaae Falak
Tajammul-e-Shab-e-Asra Abhi Simat Na Chuka
Ke Jab Se Waisee Hi Kotal Hain Sabz Haaye Falak
Khitab-e-haq Bhi Hai Dar Baab-e--e-Khalq Man Ajlak
Agar Idhar Se Dam-e-Hamd Hai Sada-e- Falak
Yeh Ahl-e-bait Ki Chukee Se Chaal Seekhee Hai
Rawan Hai Be Madad-e-Dast Aasiyaa Falak
Raza Yeh Naat-e-Nabi Ne Bulandiyaan Bakhshein
Laqab Zameen-e-Falak Ka Hua Samaye Falak
Hadaiq-e-bakhshish