Kya Theek Ho Rukh-e-Nabawi Par Misaal-e-gul
کیا ٹھیک ہو رُخِ نبوی پر مثالِ گل
Kya Theek Ho Rukh-e-Nabawi Par Misaal-e-gul
Pamal Jalwa-e-kaf-e-Paa Hai Jamaal-e-gul
Jannat Hai Un Ke Jalwa Se Jo Yaae Rang-e- O Boo
Ae Gul Hamare Gul Se Hai Gul Ko Sawaal-e-gul
Un Ke Qadam Se Sulaa-e-ghaalee Hui Jinan
Wallah Mere Gul Se Hai Jah O Jalal-e-gul
Suntaa Hoon Ishq-e-Shah Mein Dil Hoga Khoon Fishan
Ya Rab Yeh Muzhda-e-sach Ho Mubarak Ho Faal-e-gul
Bulbul Haram Ko Chal Gham-e-faanee Se Faaeda
Kab Tak Kahe Gayi Haaye Woh Ghanj O Dil Al-e-gul
Ghamgeen Hai Shauq-e-ghaza-e-khaak-e-Madina Mein
Shabnam Se Dhul Sake Gayi Na Gard-e--e-malaal-e-gul
Bulbul Yeh Kya Kaha Mein Kahan Fasl-e-gul Kahan
Umeed Rakh Ke Aam Hai Jood O Niwaal-e-gul
Bulbul Ghira Hai Abr-e- Wala Muzhda-e-ho Ke Ab
Girtee Hai Aashiyaane Pe Barq-e-jamaal-e-gul
Ya Rab Hara Bhara Rahe Daagh-e--e-Jigar Ka Baagh
Har Mah Mah-e-bahaar Ho Har Saal Saal-e-gul
Rang-e--e-mizha Se Karke Khajil Yaad-e-Shah Mein
Kheenchaa Hai Hum Ne Kaanton Pe Itr-e-jamaal-e-gul
Mein Yaad-e-shah Mein Rooon Anaadil Karein Hujoom
Har Ashk-e-Lala Faam Pe Ho Ehatimaal-e-gul
Hain Aks-e-Chehra-e- Se Lab-e-gulgoon Mein Surkhiyaan
Dooba Hai Badr-e-gul Se Shafaq Mein Hilaal-e-gul
Naat-e-Huzoor Mein Mutarannam Hai Andleeb
Shaakhon Ke Jhoomne Se Ayaan Wajd O Haal-e-gul
Bulbul Gul-e-Madina Hamesha Bahaar Hai
Do Din Ki Hai Bahaar Faan Hai Maal-e-gul
Shekheen Idhar Nisaar Ghani O Ali Idhar
Ghuncha-e-hai Bulbulo Ka Yameen O Shamaal-e-gul
Chahay Khuda To Paain Ge Ishq-e-Nabi Mein Khuld
Nikli Hai Naama-e-dil-e-par Khoon Mein Faal-e-gul
Kar Us Ki Yaad Jis Se Mile Chain Andleeb
Dekha Nahin Ke Khaar-e-alam Hai Khayal-e-gul
Dekha Tha Khwab-e-khaar-e-haram Andleeb Ne
Khatka Kya Hai Aankh Mein Shab Bhar Khayal-e-gul
Un Do Ka Sadqa Jin Ko Kaha Mere Phool Hain
Kijiye Raza Ko Hashr Mein Khandaan Misaal-e-gul
Hadaiq-e-bakhshish