Andheri raat hai gham ki ghata isyan ki kaali hai
اندھیری رات ہے غم کی گھٹا عصیاں کی کالی ہے
Andheri raat hai gham ki ghata isyan ki kaali hai
Dil-e-be-kas ka is aafat mein Aaqa tu hi wali hai
Na ho mayoos aati hai sada gor-e-ghariban se
Nabi ummat ka hami hai, Khuda bandon ka wali hai
Utarte chand dhalti chandni jo ho sake kar le
Andhera phir aata hai, yeh do din ki ujali hai
Are yeh bheriyon ka ban hai aur shaam aa gayi sar par
Kahan soya musafir, haaye kitna la-ubali hai
Andhera ghar, akeli jaan, dam ghutta, dil uktata
Khuda ko yaad kar pyare, woh sa'at aane wali hai
Zameen tapti, kateeli rah, bhaari bojh, ghayal paon
Museebat jhelne wale, tera Allah wali hai
Na chaunka din hai dhalne par, teri manzil hui khoti
Are o jaane wale, neend yeh kab ki nikali hai
Raza manzil to jaisi hai woh ik mein kya sabhi ko hai
Tum us ko rote ho, yeh to kaho yan haath khaali hai