Na Aasman Ko Yun Sar-kasheeda Hona Tha
نہ آسمان کو یوں سرکشیدہ ہونا تھا
Na Aasman Ko Yun Sar-kasheeda Hona Tha
Huzoor-e-khaak-e-Madina Khameeda Hona Tha
Agar Gulon Ko Khizaan Na Raseeda Hona Tha
Kanaar-e-khaar-e-Madina Dameeda Hona Tha
Huzoor Un Ke Khilaf-e-Adab! Thi Be Taabee
Meri Umeed Tujhe Aarmeeda Hona Tha
Nazzara Khaak-e-Madina Ka Aur Teri Aankh
Na Is Qadr Bhi Qamar Shokh Deeda-e-hona Tha
Kanaar-e-khaak-e-Madina Mein Kab Milteen
Dil-e-hazeen Tujhe Ashk-e-chakeeda Hona Tha
Panah-e-daaman-e-dasht-e-haram Mein Chain Aata
Na Sabra-e-dil Ko Ghazaal-e-rameeda Hona Tha
Yeh Kaise Khultaa Ke Un Ke Siwa Shafee-e- Nahin
Abas Na Auron Ke Aagay Tapeeda Hona Tha
Hilaal Kaise Na Banta Ke Maah-e-Kamil Ko
Salaam-e-Abroo-e- Shah Mein Khameeda Hona Tha
La-amla'anna Jahannam Tha Wa'da-e-azlee
Na Munkiro Ka Abas Bad Aqeeda Hona Tha
Naseem Kyun Na Shameem Un Ki Tabeeh Se Laatee
Ke Subh-e-gul Ko Gireban Dareeda Hona Tha
Tapkataa Rang-e--e-junoon Ishq-e-shah Mein Har Gul Se
Rag-e-bahaar Ko Nashtar Raseeda Hona Tha
Baja Tha Arsh Pe Khaak-e-mazar-e-paak Ko Naaz
Ke Tujh Sa Arsh Nasheen Aafreeda Hona Tha
Guzrate Jaan Se Ek Shor-e-’’ya Habib Ke‘‘ Sath
Fughan Ko Naala-e-halqa-e-bureeda Hona Tha
Mere Kareem Gunah Zehar Hai Magar Aakhir
Koi To Shahad-e-Shafaat Chasheeda Hona Tha
Jo Sang-e-dar Pe Jabeen Saaiyon Mein Tha Mitnaa
To Meri Jaan Sharaar-e-jaheeda Hona Tha
Teri Qabaa Ke Na Kyun Neechay Neechay Daaman Hoon
Ke Khaak Saaron Se Yan Kab Kasheeda Hona Tha
Raza Jo Dil Ko Banaanaa Tha Jalwa Gaah-e-Habib
To Pyaare Qaid-e-Khudi Se Raheeda Hona Tha
Hadaiq-e-bakhshish