Raunaq-e-bazm-e-jahan Hain Aashiqaan-e-sokhta
رونقِ بزمِ جہاں ہیں عاشقانِ سوختہ
Raunaq-e-bazm-e-jahan Hain Aashiqaan-e-sokhta
Keh Rahi Hai Shama Ki Goya Zubaan-e-sokhta
Jis Ko Qurs-e-mehr Samjha Hai Jahan Ae Munaimo!
Un Ke Khwan-e--e-Jood Se Hai Ek Naan-e-sokhta
Maah-e-Man Yeh Nayyar-e-mahshar Ki Garmi Taabke
Aatish-e-isyan Mein Khud Jalti Hai Jaan-e-sokhta
Barq-e-angusht-e-Nabi Chamkee Thi Is Par Ek Baar
Aaj Tak Hai Seena-e--e-Mah Mein Nishaan-e-sokhta
Mehr-e-aalam Taab-e- Jhuktaa Hai Piye Tasleem Roz
Pesh-e-zarraat-e-mazar-e-Bi Dil Un-e-sokhta
Koocha-e-gaisoo-e-khamdar Janan Se Chale Thandi Naseem
Baal O Par Afshan Hoon Ya Rab Bulabulaan-e-sokhta
Bahr-e--e-haq Ae Bahr-e-rahmat Ek Nigah-e-lutf Baar
Taabke Be Aab Tarpen Maahiyaan-e-sokhta
Rokshish-e-khursheed-e-mahshar Ho Tumhare Faiz Se
Ek Sharaar-e-Seena-e--e-shaidaaiyaan-e-sokhta
Aatish-e-Tar Daamnee Ne Dil Kiye Kya Kya Kabaab
Khizr Ki Jaan Ho Jila Do Maahiyaan-e-sokhta
Aatish-e-gulhaye Taiba Par Jalaane Ke Liye
Jaan Ke Talib Hain Pyaare Bulabulaan-e-sokhta
Lutf-e-barq-e-jalwa-e-Miraj Laya Wajd Mein
Shola-e-jawaala Saan Hai Aasman-e-sokhta
Ae Raza! Mazmoon Soz-e-dil Ki Rifat Ne Kya
Is Zameen-e-sokhta Ko Aasman-e-sokhta
Hadaiq-e-bakhshish