Zehe Izzat O Tilaae Muhammad
زہے عزّت و اعتلائے محمدﷺ
Zehe Izzat O Tilaae Muhammad
Ke Hai Arsh-e-haq Zer-e-Paaye Muhammad
Makaan Arsh Un Ka Falak Farsh Un Ka
Mulk-e- Khaadimaan-e-saraae Muhammad
Khuda Ki Raza Chahte Hain Do Aalam
Khuda Chahta Hai Raza-e-Muhammad
Ajab Kya Agar Raham Farma Le Hum Par
Khuda-e-Muhammad Baraye Muhammad
Muhammad Baraye Janaab-e-Ilahi!
Janaab-e-Ilahi Baraye Muhammad
Basi Itr-e-mahboobee-e-Kibriya Se
Abaae Muhammad Qabaa Muhammad
Baham Ahed-e- Bandhe Hain Wasl-e-abad Ka
Raza-e-Khuda Aur Raza-e-Muhammad
Dam-e-Naza Jaari Ho Meri Zubaan Par
Muhammad Muhammad Khuda-e-Muhammad
Asaa Kaleem Azadahaae Ghazab Tha
Giroon Ka Sahara Asaa Muhammad
Mein Qurbaan Kya Pyari Pyari Hai Nisbat
Yeh Aan-e-Khuda Woh Khuda-e-Muhammad
Muhammad Ka Dam Khaas Bahr-e--e-Khuda Hai
Siwaae Muhammad Baraye Muhammad
Khuda Un Ko Kis Pyaar Se Dekhta Hai
Jo Aankhein Hain Mahv-e-laqaa Muhammad
Jilwa Mein Ijaabat Khawaasee Mein Rahmat
Barhee Kis Tazka Se Dua-e-Muhammad
Ijaabat Ne Jhuk Kar Gale Se Lagaya
Barhee Naaz Se Jab Dua-e-Muhammad
Ijaabat Ka Sehra Inayat Ka Jora
Dulhan Ban Ke Nikli Dua-e-Muhammad
Raza Pul Se Ab Wajd Karte Guzarie
Ke Hai Rab-e-sallam Sada-e- Muhammad
Hadaiq-e-bakhshish