Paat woh kuch dhaar yeh kuch zaar hum
پاٹ وہ کچھ دَھار یہ کچھ زَار ہم
Paat woh kuch dhaar yeh kuch zaar hum
Ya Ilahi kyun kar utrain paar hum
Kis bala ki mai se hain sarshaar hum
Din dhala hote nahin hoshyar hum
Tum karam se mushtari har aib ke
Jins-e-namaqbool har bazaar hum
Dushmanon ki aankh mein bhi phool tum
Doston ki bhi nazar mein khaar hum
Laghzish-e-paa ka sahara ek tum
Girne wale lakhon naahenjaar hum
Sadqah apne baazuon ka al-madad
Kaise torein yeh but-e-pindaar hum
Dam qadam ki khair ae Jaan-e-Maseeh
Dar pe laaye hain dil-e-beemar hum
Apni rehmat ki taraf dekhein Huzoor
Jaante hain jaise hain badkaar hum
Apne mehmaanon ka sadqah ek boond
Mar mite pyaase idhar Sarkaar hum
Apne koocha se nikala to na do
Hain to had bhar ke khudaai khwaar hum
Haath utha kar ek tukda ae Kareem
Hain sakhi ke maal mein haqdaar hum
Chaandni chhatki hai un ke noor ki
Aao dekhein sair-e-Toor o Naar hum
Himmat ae za'f un ke dar par gir ke hon
Be-takalluf saaya-e-deewaar hum
Baa-ata tum Shah tum Mukhtaar tum
Be-nawa hum zaar hum naachaar hum
Tum ne to laakhon ko jaanen pher deen
Aisa kitna rakhte hain aazaar hum
Apni sattaari ka Ya Rab waastah
Hon na ruswa bar sar-e-darbaar hum
Itni arz-e-aakhiri keh do koi
Nao tooti aa pade manjhdhaar hum
Munh bhi dekha hai kisi ke afw ka
Dekh o isyaan nahin be-yaar hum
Main nisaar aisa musalmaan keeje
Tod daalen nafs ka zunnar hum
Kab se phailaaye hain daaman tegh-e-ishq
Ab to paayen zakhm daaman-daar hum
Sunniyat se khatke sab ki aankh mein
Phool ho kar ban gaye kya khaar hum
Naatwaani ka bhala ho ban gaye
Naqsh-e-paaye taalibaan-e-yaar hum
Dil ke tukde nazr-e-haazir laaye hain
Ae sagaan-e-koocha-e-dildaar hum
Qismat-e-Thawr o Hira ki hirs hai
Chaahte hain dil mein gehra ghaar hum
Chashm-poshi o karam shaan-e-shuma
Kaar-e-maa be-baaki o israar hum
Fasl-e-gul sabzah saba masti shabaab
Chhodein kis dil se dar-e-khummaar hum
Maikadah chhootta hai Lillah saaqiya
Ab ke saaghar se na hon hoshyar hum
Saaqi-e-Tasneem jab tak aa na jaayen
Ae siyah masti na hon hoshyar hum
Naazishein karte hain aapas mein malak
Hain ghulaamaan-e-Shah-e-Abraar hum
Lutf-e-az khud raftagi Ya Rab naseeb
Hon shaheed-e-jalwa-e-raftaar hum
Un ke aage da'wa-e-hasti Raza
Kya bake jaata hai yeh har baar hum