Rashk-e-Qamar hoon rang-e-rukh-e-Aaftaab hoon
رشکِ قمر ہُوں رنگ رُخِ آفتاب ہُوں
Rashk-e-Qamar hoon rang-e-rukh-e-Aaftaab hoon
Zarrah tera jo aye Shah-e-Gardoon Janaab hoon
Durr-e-Najaf hoon Gohar-e-Paak-e-Khushab hoon
Yani Turab-e-Rah Guzar Bu Turab hoon
Gar aankh hoon to abr ki chashm-e-pur-aab hoon
Dil hoon to barq ka dil-e-pur-iztiraab hoon
Khooneen jigar hoon tair-e-be-aashiyaan Shaha
Rang-e-paridah-e-rukh-e-gul ka jawab hoon
Be-asl-o-be-sabaat hoon Bahr-e-Karam madad
Parwardah-e-kinar-e-saraab-o-habaab hoon
Ibrat-fiza hai sharm-e-gunah se mera sukoot
Goya lab-e-khamosh-e-lahad ka jawab hoon
Kyun nala soz lay karoon kyun khoon-e-dil piyoon
Seekh-e-kabaab hoon na main jaam-e-sharaab hoon
Dil-bastah be-qarar, jigar chaak, ashkbaar
Ghunchah hoon gul hoon barq-e-tapaan hoon sahaab hoon
Da'wa hai sab se teri shafa'at pe beshtar
Daftar mein aasiyon ke Shaha intikhaab hoon
Maula duhaai nazron se gir kar jala ghulaam
Ashk-e-mizha rasidah-e-chashm-e-kabaab hoon
Mit jaaye ye khudi to woh jalwah kahaan nahin
Darda main aap apni nazar ka hijaab hoon
Sadqe hoon us pe naar se dega jo mukhlisi
Bulbul nahin ke aatish-e-gul par kabaab hoon
Qaalib tahi kiye hamah aaghosh hai hilaal
Aye Shahsawaar-e-Taibah! Main teri rikaab hoon
Kya kya hain tujh se naaz tere qasr ko ke main
Ka'bah ki jaan, Arsh-e-Bareen ka jawab hoon
Shaha bujhe saqar mere ashkon se ta na main
Aab-e-abas chakidah-e-chashm-e-kabaab hoon
Main to kaha hi chahoon ke banda hoon Shah ka
Par lutf jab hai keh den agar woh Janaab "hoon"
Hasrat mein khaak-boosi-e-Taibah ki aye Raza
Tapka jo chashm-e-mehr se woh khoon-e-naab hoon