Rukh din hai ya mehr-e-sama, yeh bhi nahin woh bhi nahin
رُخ دن ہے یا مہرِ سَما یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
Rukh din hai ya mehr-e-sama, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Shab zulf ya mushk-e-Khata, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Mumkin mein yeh qudrat kahan, wajib mein abdiyyat kahan
Hairan hoon yeh bhi hai khata, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Haq yeh ke hain Abd-e-Ilah aur Alam-e-Imkan ke Shah
Barzakh hain woh sirr-e-Khuda, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Bulbul ne gul un ko kaha, qumri ne sarv-e-janfiza
Hairat ne jhunjhla kar kaha, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Khursheed tha kis zor par, kya barh ke chamka tha qamar
Be-pardah jab woh rukh hua, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Dar tha ke isyan ki saza ab hogi ya roz-e-jaza
Di un ki rehmat ne sada, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Koi hai nazan zuhd par ya husn-e-tauba hai sipar
Yaan hai faqat teri ata, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Din lahw mein khona tujhe, shab subh tak sona tujhe
Sharm-e-Nabi, khauf-e-Khuda, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Rizq-e-Khuda khaya kiya, farman-e-Haq tala kiya
Shukr-e-karam, tars-e-saza, yeh bhi nahin woh bhi nahin
Hai bulbul-e-rangin Raza ya tooti-e-naghma-sara
Haq yeh ke wasif hai tera, yeh bhi nahin woh bhi nahin