Kharab haal kiya dil ko pur-malaal kiya
خراب حال کیا دِل کو پُرمَلال کیا
Kharab haal kiya dil ko pur-malaal kiya
Tumhare koocha se rukhsat kiya nihaal kiya
Na rooye gul abhi dekha na booye gul soonghi
Qaza ne la ke qafas mein shikasta baal kiya
Woh dil ke khoon shudah armaan the jis mein mil dala
Fughan ke gor-e-shaheedan ko paa-e-maal kiya
Yeh raaye kya thi wahan se palatne ki ae nafs
Sitamgar ulti chhuri se hamein halaal kiya
Yeh kab ki mujh se adawat thi tujh ko ae zaalim
Chhuda ke sang-e-dar-e-paak sar wabaal kiya
Chaman se phenk diya aashiyana-e-bulbul
Ujaara khana-e-bekas bara kamaal kiya
Tira sitam-zadah aankhon ne kya bigaara tha
Yeh kya samaai ke door un se woh jamaal kiya
Huzoor un ke khayaal-e-watan mitana tha
Hum aap mit gaye achha faraagh baal kiya
Na ghar ka rakha na us dar ka haaye nakaami
Hamari bebasi par bhi na kuch khayaal kiya
Jo dil ne mar ke jalaya tha mannaton ka charagh
Sitam ke arz-e-rah-e-sarsar zawaal kiya
Madinah chhor ke veerana Hind ka chhaya
Yeh kaisa haaye hawason ne ikhtilaal kiya
Tu jis ke waaste chhor aaya Taiba sa mehboob
Bata to us sitam-aara ne kya nihaal kiya
Abhi abhi to chaman mein the chahchahe naagah
Yeh dard kaisa utha jis ne ji nidhaal kiya
Ilahi sun le Raza jeete ji ke Maula ne
Sagaan-e-koocha mein chehra mira bahaal kiya