Utha do parda dikha do chehra ke Noor-e-Bari hijab mein hai
Utha do parda dikha do chehra ke Noor-e-Bari hijab mein hai
Zamana tareek ho raha hai ke mehr kab se niqab mein hai
Nahin woh meethi nigah wala, Khuda ki rehmat hai jalwa farma
Ghazab se un ke Khuda bachaye, Jalal-e-Bari itab mein hai
Jali jali boo se us ki paida hai sozish-e-ishq-e-chashm wala
Kabab-e-Aahu mein bhi na paya maza jo dil ke kabab mein hai
Unhi ki boo maya-e-saman hai, unhi ka jalwa chaman chaman hai
Unhi se gulshan mehak rahe hain, unhi ki rangat gulab mein hai
Teri jalw mein hai Mah-e-Taiba, hilal har marg o zindagi ka
Hayat jaan ka rakab mein hai, mamat a'da ka dab mein hai
Siyah libasan-e-dar-e-dunya wa sabz poshan-e-Arsh-e-A'la
Har ik hai un ke karam ka pyasa, yeh faiz un ki janab mein hai
Woh gul hain lab-haye nazuk un ke, hazaron jharte hain phool jin se
Gulab gulshan mein dekhe bulbul, yeh dekh gulshan gulab mein hai
Jali hai soz-e-jigar se jaan tak, hai talib-e-jalwa-e-mubarak
Dikha do woh lab ke Aab-e-Haywan ka lutf jin ke khitab mein hai
Khare hain Munkar Nakir sar par, na koi hami na koi yawar
Bata do aa kar mere Payambar ke sakht mushkil jawab mein hai
Khudaye Qahhar hai ghazab par, khule hain badkariyon ke daftar
Bacha lo aa kar Shafi-e-Mahshar, tumhara banda azab mein hai
Karim aisa mila ke jis ke khule hain haath aur bhare khazane
Batao aye mufliso! ke phir kyun tumhara dil iztirab mein hai
Gunah ki tareekiyan yeh chhayi, umand ke kali ghatain aayin
Khuda ke Khursheed mehr farma ke zarrah bas iztirab mein hai
Karim apne karam ka sadqah, laeem-e-be-qadr ko na sharma
Tu aur Raza se hisab lena, Raza bhi koi hisab mein hai