Chamak tujh se paate hain sab paane waale
چمک تجھ سے پاتے ہیں سب پانے والے
Chamak tujh se paate hain sab paane waale
Mera dil bhi chamka de, chamkaane waale
Barasta nahin dekh kar abr-e-rahmat
Budon par bhi barsa de, barsaane waale
Madine ke khitte, Khuda tujh ko rakkhe
Ghareebon, faqeeron ke thehraane waale
Tu zinda hai, wallah! Tu zinda hai, wallah!
Mere chashm-e-aalam se chhup jaane waale
Main mujrim hoon, Aaqa! Mujhe saath le lo
Ke raste mein hain ja ba ja thaane waale
Haram ki zameen aur qadam rakh ke chalna
Are! Sar ka mauqa hai, o jaane waale
Chal uth, jabhah-farsa ho saaqi ke dar par
Dar-e-jood, ae mere mastaane waale
Tera khaayen, tere ghulaamon se uljhein
Hain munkir, ajab khaane, ghuraane waale
Rahega yun hi un ka charcha rahega
Pade khaak ho jaayen jal jaane waale
Ab aayi shafaat ki saa'at, ab aayi
Zara chain le, mere ghabraane waale
Raza! Nafs dushman hai, dam mein na aana
Kahaan tum ne dekhe hain chandrane waale