Raunaq-e-Bazm-e-Jahaan Hain Aashiqaan-e-Sokhtah
رونقِ بزمِ جہاں ہیں عاشقانِ سوختہ
Raunaq-e-Bazm-e-Jahaan Hain Aashiqaan-e-Sokhtah
Keh Rahi Hai Shama Ki Goya Zabaan-e-Sokhtah
Jis Ko Qurs-e-Mehr Samjha Hai Jahaan Ae Muna'imo!
Un Ke Khwaan-e-Jood Se Hai Ek Naan-e-Sokhtah
Maah-e-Man Yeh Nayyar-e-Mahshar Ki Garmi Taabake
Aatish-e-Isyaan Mein Khud Jalti Hai Jaan-e-Sokhtah
Barq-e-Angusht-e-Nabi Chamki Thi Us Par Ek Baar
Aaj Tak Hai Seena-e-Maah Mein Nishaan-e-Sokhtah
Mehr-e-Aalam Taab Jhukta Hai Paye Tasleem Roz
Pesh-e-Zarraat-e-Mazaar-e-Baidilaan-e-Sokhtah
Koocha-e-Gaisoo-e-Jaanaan Se Chale Thandi Naseem
Baal-o-Par Afshaan Hoon Yaarab Bulbulaan-e-Sokhtah
Behr-e-Haq Ae Bahr-e-Rahmat Ik Nigaah-e-Lutf Baar
Taabake Be-Aab Tarpein Maahiyaan-e-Sokhtah
Rokash-e-Khursheed-e-Mahshar Ho Tumhare Faiz Se
Ik Sharaar-e-Seena-e-Shaidaaiyaan-e-Sokhtah
Aatish-e-Tardaamani Ne Dil Kiye Kya Kya Kabaab
Khizr Ki Jaan Ho Jila Do Maahiyaan-e-Sokhtah
Aatish-e-Gulhaaye Taibah Par Jalaane Ke Liye
Jaan Ke Taalib Hain Pyaare Bulbulaan-e-Sokhtah
Lutf-e-Barq-e-Jalwa-e-Mi'raaj Laaya Wajd Mein
Shola-e-Jawaala Saan Hai Aasmaan-e-Sokhtah
Ae Raza Mazmoon-e-Soz-e-Dil Ki Rif'at Ne Kiya
Is Zameen-e-Sokhtah Ko Aasmaan-e-Sokhtah