Tu hai woh Ghaus ke har Ghaus hai shaida tera
تُو ہے وہ غوث کہ ہر غوث ہے شیدا تیرا
Tu hai woh Ghaus ke har Ghaus hai shaida tera
Tu hai woh Ghais ke har Ghais hai pyasa tera
Sooraj aglon ke chamakte the chamak kar doobe
Ufuq-e-noor pe hai mehr hamesha tera
Murgh sab bolte hain bol ke chup rahte hain
Haan aseel ek nawa sanj rahe ga tera
Jo wali qabl the ya baad hue ya hon ge
Sab adab rakhte hain dil mein mere Aaqa tera
Baqasam kehte hain shahan-e-sarifein-o-haram
Ke hua hai na wali ho koi hamta tera
Tujh se aur dahr ke aqtab se nisbat kaisi
Qutb khud kaun hai khadim tera chela tera
Saare aqtab jahan karte hain Ka'bah ka tawaf
Ka'bah karta hai tawaf-e-dar-e-wala tera
Aur parwane hain jo hote hain Ka'bah pe nisar
Sham'a ik tu hai ke parwana hai Ka'bah tera
Shajar-e-sarw sahi kis ke ugaye tere
Ma'rifat phool sahi kis ka khilaya tera
Tu hai naushah barati hai yeh sara gulzar
Layi hai fasl-e-saman gondh ke sehra tera
Daliyan jhoomti hain raqs-e-khushi josh pe hai
Bulbulen jhoolti hain gaati hain sehra tera
Geet kaliyon ki chatak ghazlen hazaron ki chehak
Bagh ke saazon mein bajta hai tarana tera
Saff-e-har shajarah mein hoti hai salami teri
Shakhen jhuk jhuk ke baja lati hain mujra tera
Kis gulistan ko nahin fasl-e-bahari se niyaz
Kaun se silsilah mein faiz na aaya tera
Nahin kis chand ki manzil mein tera jalwa-e-noor
Nahin kis aaina ke ghar mein ujala tera
Raaj kis shahr mein karte nahin tere khuddam
Baaj kis nahr se leta nahin darya tera
Mazra-e-Chisht-o-Bukhara-o-Iraq-o-Ajmer
Kaun si kisht pe barsa nahin jhala tera
Aur mahboob hain, haan par sabhi yaksan to nahin
Yun to mahboob hai har chahne wala tera
Us ko sau fard sarapa bifaraghat orhhen
Tang ho kar jo utarne ko ho nima tera
Gardanen jhuk gain sar bichh gaye dil loot gaye
Kashf-e-saq aaj kahan yeh to qadam tha tera
Taj-e-farq-e-urafa kis ke qadam ko kahiye!
Sar jise baaj den woh paon hai kis ka tera
Sukr ke josh mein jo hain woh tujhe kya jaanen
Khizr ke hosh se poochhe koi rutba tera
Aadmi apne hi ahwal pe karta hai qiyas
Nashe walon ne bhala sukr nikala tera
Woh to chhota hi kaha chahen ke hain zer-e-hazeez
Aur har auj se ooncha hai sitara tera
Dil-e-a'da ko Raza tez namak ki dhun hai
Ik zara aur chhirakta rahe khama tera