Hajiyo! Aao Shehenshah ka Roza Dekho
حاجیو! آؤ شہنشاہ کا رَوضہ دیکھو
Hajiyo! Aao Shehenshah ka Roza Dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho
Rukn-e-Shami se miti wahshat-e-shaam-e-ghurbat
Ab Madina ko chalo subh-e-dil-aara dekho
Aab-e-Zamzam to piya khoob bujhaein pyasen
Aao jood-e-Shah-e-Kausar ka bhi darya dekho
Zair-e-Meezab mile khoob karam ke chhinte
Abr-e-Rahmat ka yahan zor barasna dekho
Dhoom dekhi hai dar-e-Kaaba pe betaabon ki
Un ke mushtaqon mein hasrat ka tarapna dekho
Misl-e-Parwana phira karte the jis shama ke gird
Apni us shama ko parwana yahan ka dekho
Khoob aankhon se lagaya hai ghilaf-e-Kaaba
Qasr-e-Mehboob ke parde ka bhi jalwa dekho
Waan matee'on ka jigar khauf se pani paaya
Yaan siyahkaron ka daman pe machalna dekho
Awwaleen khana-e-Haq ki to ziyaein dekhin
Aakhireen bait-e-Nabi ka bhi tajalla dekho
Zeenat-e-Kaaba mein tha lakh arooson ka banaao
Jalwa farma yahan kaunain ka dulha dekho
Aiman-e-Toor ka tha rukn-e-Yamani mein furogh
Shola-e-Toor yahan anjuman-aara dekho
Mehr-e-madar ka maza deti hai aaghosh-e-Hateem
Jin pe maan baap fida yaan karam un ka dekho
Arz-e-Hajat mein raha Kaaba kafeel-e-injaah
Aao ab daad-rasi-e-Shah-e-Taiba dekho
Dho chuka zulmat-e-dil bosah-e-Sang-e-Aswad
Khaak-boosi-e-Madina ka bhi rutba dekho
Kar chuki rif'at-e-Kaaba pe nazar parwazen
Topi ab thaam ke khaak-e-dar-e-wala dekho
Be-niyazi se wahan kaanpti paayi ta'at
Josh-e-Rahmat pe yahan naaz-e-gunah ka dekho
Jumu'a-e-Makka tha Eid ahl-e-ibadat ke liye
Mujrimo! Aao yahan Eid-e-Doshanbah dekho
Multazam se to gale lag ke nikale armaan
Adab o shauq ka yaan baaham ulajhna dekho
Khoob Masa'ee mein ba-umeed-e-Safa daur liye
Rah-e-Janaan ki safa ka bhi tamasha dekho
Raqs-e-Bismil ki baharein to Mina mein dekhin
Dil-e-khoon-nabah-fishan ka bhi tarapna dekho
Ghaur se sun to Raza Kaaba se aati hai sada
Meri aankhon se mere pyare ka Roza dekho