Rah purkhaar hai kya hona hai
راہ پُرخار ہے کیا ہونا ہے
Rah purkhaar hai kya hona hai
Paaon afgaar hai kya hona hai
Khushk hai khoon ke dushman zaalim
Sakht khoonkhaar hai kya hona hai
Hum ko bid kar wohi karna jis se
Dost bezaar hai kya hona hai
Tan ki ab kaun khabar le haaye haaye
Dil ka aazaar hai kya hona hai
Meethe sharbat de Maseeha jab bhi
Zid hai inkaar hai kya hona hai
Dil ke teemaar hamaara karta
Aap beemaar hai kya hona hai
Par kate tang qafas aur bulbul
Nau giraftaar hai kya hona hai
Chhup ke logon se kiye jis ke gunaah
Woh khabardaar hai kya hona hai
Are o mujrim be-parwa dekh
Sar pe talwaar hai kya hona hai
Tere beemaar ko mere Isa
Ghash lagaataar hai kya hona hai
Nafs pur-zor ka woh zor aur dil
Zair hai zaar hai kya hona hai
Kaam zindaan ke kiye aur hamein
Shauq-e-gulzaar hai kya hona hai
Haaye re neend musaafir teri
Kooch tayyaar hai kya hona hai
Door jaana hai raha din thoda
Raah dushwaar hai kya hona hai
Ghar bhi jaana hai musaafir ke nahin
Mat pe kya maar hai kya hona hai
Jaan halkaan hui jaati hai
Baar sa baar hai kya hona hai
Paar jaana hai nahin milti naao
Zor par dhaar hai kya hona hai
Raah to tegh par aur talwon ko
Gilah-e-khaar hai kya hona hai
Roshni ki hamein aadat aur ghar
Teerah-o-taar hai kya hona hai
Beech mein aag ka dariya haail
Qasd us paar hai kya hona hai
Is kari dhoop ko kyon kar jhelen
Shola-zan naar hai kya hona hai
Haaye bigri to kahaan aa kar naao
Ain manjhdhaar hai kya hona hai
Kal to deedaar ka din aur yahaan
Aankh bekaar hai kya hona hai
Munh dikhaane ka nahin aur sahar
Aam darbaar hai kya hona hai
Un ko rahm aaye to aaye warna
Woh kari maar hai kya hona hai
Le woh haakim ke sipaahi aaye
Subah izhaar hai kya hona hai
Waan nahin baat banaane ki majaal
Chaara iqraar hai kya hona hai
Saath waalon ne yahin chhod diya
Be-kasi yaar hai kya hona hai
Aakhri deed hai aao mil len
Ranj bekaar hai kya hona hai
Dil hamein tum se lagaana hi na tha
Ab safar baar hai kya hona hai
Jaane waalon pe yeh rona kaisa
Bandah naachaar hai kya hona hai
Naz'a mein dhyaan na bat jaaye kahin
Yeh abas pyaar hai kya hona hai
Us ka gham hai ke har ek ki soorat
Gale ka haar hai kya hona hai
Baatein kuchh aur bhi tum se karte
Par kahaan waar hai kya hona hai
Kyon Raza kurhte ho hanste uthho
Jab woh Ghaffaar hai kya hona hai