Rah-e-Irfan se jo hum nadeeda-ro mahram nahin
راہِ عرفاں سے جو ہم نادیدہ رو محرم نہیں
Rah-e-Irfan se jo hum nadeeda-ro mahram nahin
Mustafa hai masnad-e-irshad par kuchh gham nahin
Hoon Musalman garche naqis hi sahi ai kamilo!
Mahiyat pani ki aakhir yam se nam mein kam nahin
Ghunchay Ma Awha ke jo chatkay Dana ke bagh mein
Bulbul-e-Sidrah tak un ki boo se bhi mahram nahin
Us mein Zamzam hai ke tham tham us mein jam jam hai ke besh
Kasrat-e-Kausar mein Zamzam ki tarah kam kam nahin
Panjah-e-Mehr-e-Arab hai jis se darya bah gaye
Chashmah-e-Khurshid mein to naam ko bhi nam nahin
Aisa ummi kis liye muntakash-e-ustad ho
Kya kifayat us ko Iqra Rabbukal Akram nahin
Aws mehr-e-hashr par par jaye piyaso to sahi
Us gul-e-khandan ka rona giryah-e-shabnam nahin
Hai unhin ke dam qadam ki bagh-e-alam mein bahar
Woh na the alam na tha gar woh na hon alam nahin
Sayah-e-deewar-o-khak-e-dar ho Yarab aur Raza
Khwahish-e-Dehim-e-Qaisar, shauq-e-takht-e-Jam nahin